Ganesh Amritwani Lyrics in English – Ganesh Bhajan

VIDEO CREDITS:

Album Name: Shri Ganesh Amritwani
Singer: Anuradha Paudwal
Composer: Surinder Kohli
Author: Balbir Nirdosh

—————————————–

Vighan vinashak ganraye
Bhaye se mukt kare
Isaki daya se bhaktan ki
Bhav se naav tare

 

Parvati lalana ka mann se
Bhajan tu karta ja
Karuna ki is murat se
Mann vanchhit phal pa

 

Jiske ghar me ganraj ke
Naam ka deep jaale
Uss ghar ke har jeev ki
Har ek bandha tale
Jinkpe karuna swayam kare
Gauri sut maharaj
Palak jhapakte hi unke
Siddh ho jaate kaaj

 

Jai jai shri ganesh
Jai ganpati ganesh

 

Mitti ke hai hum bane
Ganpati pran swaroop
Vo hai rachaiya hum rachana
Vo suraj hum dhoop

 

Sada samarpan bhaav se
Jaye ganpati paas
Jeevan gathari ka tumko
Kasht na dega bhaar

 

Nar narayan rishi muni
Jiska mann na kare
Deen heen ke vo swami
Ghadi me paap haare
Gun gaurav aur gyan ki
Ganga gapati preet
Isake sadhak ko jag mein
Kaal sake naa jeet

 

Jai jai shri ganesh
Jai ganpati ganesh

 

Aaadi siddhiya hi jiski
Seva kare din rain
Uske charan saroj se
Jode rahiye nain

 

Mann mandir me tu basa
Amba lal ganesh
Kast nast ho jayenge
Mitenge sakal kalesh

 

Tribhuvan ke is naath ka
Chitt se chintan kar
Janam janam ki peeda teri jayegi haar
Sagar hai prabhu prem ka pyasa ban kar dekh
Amrat maye ho jayenge buddhi aur vivek

 

Jai jai shri ganesh
Jai ganpati ganesh

 

Ghatt ghatt ki janta shiv nandan bhagwan
Charan sharan me jaa to
Sahi vo to hai daya nidhan
Deen ka shouk vishaad ko harta ganpati jaap

 

Ek dant ke aarchan se
Darte dukh santaap
Kshad bhangur tu bulbula
Jyo sapne ki baat

 

Ese tu jhad jayega jaise vraksh se paat
Nayasheelata daya dharam gajanan se seekh
Shankar sut se mangle satt guno ki bheekh

 

Jai jai shri ganesh
Jai ganpati ganesh

Blogs

Five Forms of Shiva: Meaning, Mantras, and Importance (Panchanana)

Discover the Five Forms of Shiva (Panchanana), their profound meanings, powerful mantras, and spiritual significance in Hindu mythology.

Read More

Maha Kumbh Mela 2025: Significance, Types, Dates, and Spiritual Importance

Explore the Maha Kumbh Mela 2025, its significance, types, key dates, and spiritual importance in connecting millions to faith and tradition.

Read More

10 Mystical Stories of Shiva Every Devotee Must Know

Explore 10 mystical stories of Lord Shiva that highlight his divine power, compassion, and wisdom. These captivating tales are a must-know for every devoted follower on their spiritual journey.

Read More

Subscribe to our Youtube Channel

Follow us for Aarti, Bhajan, and Stories